Mehnat Ki Kamai Shayari

Mehnat Ki Kamai Shayari, mazdoor day poetry in urdu, mazdoor ki shayari in urdu, mazdoor shayari, mazdoor quotes, mazdoor day status, youm e mazdoor
Kawish Poetry

 Mehnat Ki Kamai Shayari





Inhi hairat_zada aankhon se dekhy hain wo aansu bhi
Jo aksar dhoop mein mehnat ki peshani se dhalty hain

انہی حیرت زدہ آنکھوں سے دیکھے ہیں وہ آنسو بھی
جو اکثر دُھوپ میں محنت کی پیشانی سے ڈھلتے ہیں

Mehnat ki kamai status

Abtak mery aasab pe mehnat hay musallat
Abtak mery kanon mein mashinon ki sada hay

اب تک میرے اعصاب پہ محنت ہے مسلط
اب تک میرے کانوں میں مشینوں کی صدا ہے



So jaty hain fotpath pe akhbar bicha kr
Mazdor kabhi neend ki goli nahi khaty

سو جاتے ہیں فٹ پاتھ پہ اخبار بچھا کر
مزدور کبھی نیند کی گولی نہیں کھاتے


Mehnat ki kamai quotes

Pasina meri mehnat ka mery mathy pe raushan tha
Chamak laal o javahar ki meri thokar pe rakhi thi

پسینہ میری محنت کا میرے ماتھے پہ روشن تھا
چمک لعل و جواہر کی میری ٹھوکر پہ رکھی تھی

Aaj bhi sipra uski khushbo mill malik le jata hay
Main lohe ki naaf se paida jo kasturi karta hon

آج بھی سپراؔ اس کی خوشبو مل مالک لے جاتا ہے
میں لوہے کی ناف سے پیدا جو کستوری کرتا ہوں