Wada Shayari 2 Lines Urdu, wada Poetry

Wada Shayari 2 Lines Urdu, Wada Qasam Shayari, Wada shayari urdu, Wada Nibhana shayari urdu, Wada khilafi Shayari, Wada torna poetry in urdu, Wada
Kawish Poetry

 Wada Shayari 2 Lines Urdu



Wada Shayari 2 Lines Urdu
wada poetry




Bandh kar ahd e wafa koi gaya hay mujhse
Aai meri umar e ravan or zara ahista

باندھ کر عہدِ وفا کوئی گیا ہے مجھ سے
اے میری عمرِ رواں اور ذرا آہستہ 


Wada Shayari



Jal kar gira hon sukhe shajar se uda nahi
Main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha

جل کر گِرا ہوں سُوکھے شجر سے اُڑا نہیں
میں نے وہی کیا جو تقاضا وفا کا تھا


Tere intezar mein palke bichaye baithe hain
Wo ayenge isiliye umeed jagaye baithe hain
Na torna kabhi milne ka wada k hum ab to apni jaan ki bazi lagaye baithe hain

تیرے انتظار میں پلکیں بچھائے بیٹھے ہیں
وہ آئیں گے اس لیے اُمید جگائے بیٹھے ہیں
نہ توڑنا کبھی ملنے کا وعدہ
کہ ہم اب تو اپنی جان کی بازی لگائے بیٹھے ہیں 

Tere waade ko kabhi jhuut nahi samjhunga
Aaj ki raat bhi darwaza khula rakhunga

تیرے وعدے کو کبھی جھوٹ نہیں سمجھوں گا
آج کی رات بھی دروازہ کُھلا رکھوں گا 


Phir tera waada e shab yaad aaya Wada Qasam Shayari


Wada Qasam Shayari



Din guzara tha badi mushkil se
Phir tera waada e shab yaad aaya
دن گُزرا تھا بڑی مشکل سے
پھر تیرا وعدہِ شب یاد آیا


Wada shayari urdu

Main us ke waade ka ab bhi yaqeen karta hon
Hazar baar jise aazma liya main ne

میں اس کے وعدے کا اب بھی یقین کرتا ہوں
ہزار بار جسے آزما لیا میں نے 

Wada Nibhana shayari urdu

Wafa karenge nibahenge baat manenge
Tumhein bhi yaad hay kuch ye kalaam kiss ka tha

وفا کریں گے نبھائیں گے بات مانیں گے
تمہیں بھی یاد ہے کچھ، یہ کلام کس کا تھا
 
Wada todna shayari in urdu

Khatir se ya lihaz se main maan to gaya
Jhuti qasam se aap ka iman to gaya

خاطر سے یا لحاظ سے میں مان تو گیا
جھوٹی قسم سے آپ کا ایمان تو گیا 


Wada khilafi Shayari

Ek ek baat mein sachchai hay uski lekin
Apne waadon se mukar jaane ko ji chahta hay

اِک اِک بات میں سچائی ہے اس کی لیکن
اپنے وعدوں سے مُکر جانے کو جی چاہتا ہے 


Wada torna poetry in urdu

Kaha tha tumne ke pyar ka wada kabhi na torna
Kaha tha humne ke tanha hume kabhi na chorna
Kyun keh aansuo ko hum pee na payenge
Tumse juda ho kar hum jee na payenge

کہا تھا تم نے کہ پیار کا وعدہ کبھی نہ توڑنا
کہا تھا ہم نے کہ تنہا ہمیں کبھی نہ چھوڑنا 
کیوں کہ آنسو کو ہم پی نہ پائیں گے
تم سے جُدا ہو کر ہم جی نہ پائیں گے