Suna hay log usy aankh bhar k dekhty hain
So uske shahr me kuch din thahar k dekhty hain
Suna hay rabt hay usko khrab haloon se
So apny aapko barbad karke dekhty hain
Suna hay dard ki gahak hay chashm e naaz uski
So ham bhi uaki gali se guzar k dekhty hain
Suna hay usko bhi hay sher o shayari se shaghaf
So ham bhi moajizy apny hunar k dekhty hain
Suna hay boly to baton se phool jhadty hain Ye baat hay to chalo baat kr k dekhty hain
Suna hay raat usy chaand takta rahta hay
Sitary bam e falak se utar k dekhty hain
Suna hay din ko usy titliyan satati hain
Suna hay raat ko jugnu thahar k dekhty hain
Suna hay hashr hain uski ghazal si aankhen
Suna hay usko hiran dasht bhar k dekhty hain
Suna hay raat se badh kr hain kakulein uski
Suna hay shaam ko saae guzar k dekhty hain
Suna hay uski siyah chashmagi qayamat hay
So usko surma farosh aah bhar k dekhty hain
Suna hay uske laboon se gulaab jalty hain
So ham bahar pe ilzaam dhar k dekhty hain
Suna hay aaina temsal hay jabin uski
Jo saada dil hain use ban sanwar k dekhty hain
Suna hay jb se hamail hain uski gardan me
Mizaaj aur hi laal o guhar k dekhty hain
Suna hay chashm e tasawwur se dasht e imkaan me
Palang zaviye uski kamar k dekhty hain
Suna hay uske badan ki tarash aisi hay
Ki phool apni qabaen katar k dekhty hain
Wo sarv qad hay magr be gul e murad nahi
Ki us shajar pe shagufe samar k dekhty hain
Bs ek nigah se lutta hay qifila dil ka
So rah rawan e tamana bhi dar k dekhty hain
Suna hay uske shabistan se muttasil hay bahisht
Makeen udhar k bhi jalwe idhar k dekhty hain
Ruky to gardishen uska tawaf karti hain
Chaly to usko zamany thahar k dekhty hain
Kesi naseeb ki be pairahan usy dekhy
Kabhi kabhi dar o dewar ghar k dekhty hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalghy hi sahi
Agr wo khwab hay tabeer kr k dekhty hain
Ab uske shahr me thahren ki kooch kr jaen
Faraz aao sitary safar k dekhty hain