Zara Si Zindagi Hai Armaan Bahut Hain | Dil Ka Dard Poetry

dil ka dard poetry, urdu poetry, dard poetry, dard bhari poetry, dil ka dard poetry in urdu, dil ka dard poetry sms, dil ka dard poetry facebook
Kawish Poetry

 Dil Ka Dard Poetry



dil ka dard poetry


Zara si zindagi hai armaan bahut hain
Humdard nahin koi insan bahut hain
Dil ka dard sunayen to sunayen kisko
Jo dil k qareeb hai wo anjan bahut hai

ذرا سی زندگی ہے ارمان بہت ہیں
ہمدرد نہیں کوئی انسان بہت ہیں
دل کا درد سنائیں تو سنائیں کس کو
جو دل کے قریب ہے وہ انجان بہت ہے


dil ka dard poetry


Koi mathe ka likha padh sakega
Meri qismat k paudhe zard kyon hain
Ya seena chak karke dil se puchun
Tere hisse mein aakhir dard kyon hai

کوئی ماتھے کا لکھا پڑھ سکے گا
میری قسمت کے پودے زرد کیوں ہیں
یا سینہ چاک کرکے دل سے پوچھوں
تیرے حصے میں آخر درد کیوں ہے


dil ka dard poetry


Na suna usne tavajjo se fasana dil ka
Zindagi gujari magar dard na jana dil ka
Kuchh nai baat nahin husn per aana dil ka
Mashghla ye hai nihayat hi purana dil ka

نہ سنا اس نے توجہ سے فسانہ دل کا
زندگی گزری مگر درد نہ جانا دل کا
کچھ نئی بات نہیں حُسن پر آنا دل کا
مشغلہ یہ ہے نہایت ہی پرانا دل کا