Ghazal On Aankhen
ghazal |
Vahi udas si aankhen udas chehra hai
Ye lag raha hai keh pahly bhi tujhko dekha hai
Main chahta hoon keh teri taraf na dekhon main
Meri nazar ko magar tu ne bandh rakha hai
Ye lag raha hai keh pahly bhi tujhko dekha hai
Main chahta hoon keh teri taraf na dekhon main
Meri nazar ko magar tu ne bandh rakha hai
Chupa ke rakhta hoon main khudko har tarah lekin
Ye aaina mujhe hairat me dal deta hai
Tumhari baat pe kisko yaqeen aaega
Kesi se tum na ye kahna khuda ko dekha hai
Hazaron manzilen sar kar chuka hoon main lekin
Ye khud se khud ka safar to bahut ajab sa hai
Tera vajood tere raste mein haail hai
Yahin se ho ke mera qafila guzarta hai
Main din ko shab se bhala kyoon alag karon saani
Ye tiirgi bhi to ik raushni ka hissa hai