Chorna Shayari In Urdu | Chorna Poetry

Chorna Shayari In Urdu, Chorna Poetry, chorna shayari in urdu sms, Urdu Poetry, Urdu Shayari
Kawish Poetry

 Chorna Shayari In Urdu



Chorna Shayari In Urdu


Hosh baqi raha to shayad jee nahi paungi
Iltija ye hay keh jab bhi chorna zinda na chorna

ہوش باقی رہا تو شاید جی نہیں پاؤں گی
اِلتجا یہ ہے کہ جب بھی چُھوڑنا زندہ نہ چھوڑنا


Chorna Shayari In Urdu


Tu bichar raha hay soch le tery hath mein hay meri zindagi
Tujhy chorna meri maut hay meri be_basi ka khayal kar


تو بچھڑ رہا ہے سوچ لے تیرے ہاتھ میں ہے میری زندگی تُجھے چُھوڑنا میری مُوت ہے میری بے بسی کا خیال کر


Chorna shayari in urdu sms


Doriyon k dar se mohabbat ka daman na chorna
Hathon mein hath ho to lakeren mil hi jati hay

دوریوں کے ڈر سے محبت کا دامن نہ چھوڑنا
ہاتھوں میں ہاتھ ہو تو لکیریں مل ہی جاتی ہیں


Phir yoon hua k sath tera chorna para
Sabit hua k lazim o malzoom kuch nahi

پھر یوں ہوا کہ ساتھ تیرا چھوڑنا پڑا
ثابت ہوا کہ لازم و ملزوم کچھ نہیں

Mat chorna mera haath tu zindagi mein kabhi bhi
K main zinda hon tumhary hi saath rehnay say

مت چھوڑنا میرا ہاتھ تو زندگی میں کبھی بھی
کہ میں زندہ ہوں تمہارے ہی ساتھ رہنے سے 

Tum ne mujhko kiya chorna tha
Tumhari auqaat hi nahi thi mujhy panay ki

تم نے مجھ کو کیا چھوڑنا تھا
تمہاری اُوقات ہی نہیں تھی مجھے پانے کی

Maa k liye sab ko chor dena lekin sab k liye
Maa ko mat chorna
Kiyon k jab maa roti hay tu Farishto ko bhi rona aa jata hay

ماں کے لیے سب کو چھوڑ دینا لیکن سب کے لئے ماں کو مت چھوڑنا
کیوں کہ جب ماں رُوتی ہے تو فرشتوں کو بھی رونا آجاتا ہے


Life mein usko kabhi mat chorna
Jisne aapke liye sab chor diya

لائف میں اس کو کبھی مت چھوڑنا
جس نے آپ کے لئے سب چھوڑ دیا

Hum to uski har khwaish poori karny ka wada kar bethy
Humein kiya pata humein chorna bhi uski ek khwaish thi

ہم تو اس کی ہر خواہش پوری کرنے کا وعدہ کر بیٹھے ہمیں کیا پتا ہمیں چھوڑنا بھی اس کی اِک خواہش تھی

Uska woh kehna keh mera saath mat chorna warna main toot jaungi
Aur ab main har raat toot jata hon sirf ye alfaz soch soch kar

اس کا وہ کہنا کہ میرا ساتھ مت چھوڑنا ورنہ میں ٹوٹ جاؤں گی
اور اب میں ہر رات ٹوٹ جاتا ہوں صرف یہ الفاظ سوچ سوچ کر

Qadam qadam pr ye ranjeshain behka na de kahin tujhy
Mohabbat ki is daastan mein wafa ka daman na chorna tum

قدم قدم پر یہ رنجشیں بہکا نہ دے کہیں تجھے
محبت کی اس داستان میں وفا کا دامن نہ چھوڑنا تم

Chorna chahau to bhi main use kabhi nahi chod paunga
Use chod kar main uska dil kabhi nahi tod paunga

چھوڑنا چاہو تو بھی میں اسے کبھی نہیں چھوڑ پاؤں گا
اسے چھوڑ کر میں اس کا دل کبھی نہیں توڑ پاؤں گا

Taaruf rog ban jaey tou usko bhoolna behtar
Talluq bojh ban jaey tou usko todna acha
Wo afsaana jisy anjaam tak laana na ho mumkin
Usey ek khoobsorat mod de kar chorna acha
Chalo ek bar phir se ajnabi ban jaen hum dono


Na sawal ban kar mila karo
Na jawab ban kar mila karo
Meri zindagi mery khuwaab hain
Mujhy khuwaab ban kar mila karo
Mujhy achay log buhut milay
Main to unke qarz se bhar gaya
Jo ho sakey to kabhi kabhi
To kharab ban kar mila karo
Abhi sochna hay to soch lo
Abhi chorna hay chod do
Nahi mosmon mein milo mujhy
To gulaab ban kar mila karo


Be sbab chor diya tumny koi ilzam diya hota
Meri khamosh mohabbat ko koi naam diya hota
Main mar kyun nahi gaya teri narazgi se pehly
Mujhy chorna tha to koi laqab e badnam diya hota
Main umar bhar k liye nahi kehta k mera saath dedo
Bus jeny ko koi dilasa kesi shaam diya hota
Tumhein pany ki talab mein kitna roya dil e muntazar
Raat bhar jagny ki ibadat ka koi inaam diya hota
Agr hum na thay teri wafa k qabil
Hum mar hi jaty agr zehar ka jaam diya hota


Zindagi mein kabhi kesi ka saath nahi chorna
Kyun k kuch pal lagty hain rishty banany mein
Aur kuch pal lagty hain rishty torny mein
Ek pal lagta hay kesi ko rulany mein
Aur zindagi beet jati hay kesi ko bhulaany mein


Ye udaas udaas udaasiyan aur door door ki dooriyan
Mujhy ashk ashk bikher k pher hans hans kr sametna
Ye aag aag ka kheel hay usey roz roz nahi khelna
Mujhy warq warq kholna phir harf harf pe ye sochna
Ye jafaa jafaa k rasty aur wafaa wafaa ki manzilen
Mujhy dhundh dhundh k dhundhna phir chorr chorr k chorna